ChiDiya ki shadi Hindi Poem

giit ḳhushī ke mil kar gaao

nannhī munnī chiḌiyo aao

chiḌiyā kī shādī hai aaj

chiḌiyā kī shādī hai aaj

lo vo bajne lagī shahnā.ī

mainā giit sunātī aa.ī

chiḌiyā kī shādī hai aaj

chiḌiyā kī shādī hai aaj

bulbul ne hai sehrā gaayā

naach kabūtar ne dikhlāyā

chiḌiyā kī shādī hai aaj

chiḌiyā kī shādī hai aaj

mehmāñ aa.e karo svāgat

ab hogī shādī kī dāvat

chiḌiyā kī shādī hai aaj

chiḌiyā kī shādī hai aaj

murġhī tohfa anDā laa.ī

murġhe ne dī aa ke badhā.ī

chiḌiyā kī shādī hai aaj

chiḌiyā kī shādī hai aaj

totā mīThe phal le aayā

ujlā kar kanTās bhī aayā

chiḌiyā kī shādī hai aaj

chiḌiyā kī shādī hai aaj

chale barātī hañste gaate

dūlhā dulhan jī ko lubhāte

chiḌiyā kī shādī hai aaj

chiḌiyā kī shādī hai aaj

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *